Sunday 2 September 2012

besharm shayar


bada hi besharm hai ye shayar,
log kehte hain,
apne zakhm chupa lo,
duniya dekhegi to hasegi, mazaak udaegi,
kamzori ka fayeda bhi uthaegi.
par dekho, ye to apne zakhmon ko apne nazmon mein utar kar
unhe dikhata, padhta aur sunata phirta hai duniya mein.
 
sari kharashein saaf nazar ati hain iski
kyon na ho
pairahan jo halke shabdon ka hai?
ab khaab aur khaak ke beech ka faasla
is shayar ke hothon jitna hi hai.
uska dil aur chehra hi to wo safhe hain
jin par wo khoon-e-jigar ki syahi chipkata hai
bada besharam hai ye shayar
apne ruh ko jala kar din karta hai
apne nazmon mein apni raatein kaat-ta hai

1 comment:

  1. zakhm kahan chupte hein
    jitni zyada hamari ankhon mein chubhti he
    aur kisi ki ankhon mein nahin...
    dekhtenhe subah sam
    yaden kuredte hein inhe
    ansoon seenchti hein inhe
    aur maili chadar ke seere se sahlate hein hum

    ReplyDelete