Monday 17 November 2014

Ek aisa rishta


Is rishte ka rishta hona 
Bas tere masoom aitbaar 
Aur bina shikvon ke  
Intezaar ke badaulaat hai. 

Hum to bezaar the,
Kabhi berukhi to
Kabhi bewafai ki.
Jab mila to saut ki 
Zulfon ki itr ki khosboo 
Apne jism mein bhar kar mila. 
Aur Jab bichhda to 
Zald lautne ka jhootha
Waada bhi nahin kiya.

Purane shehar ki,
Ghumavdaar galiyon si
Tumhari baahon se  
Baar baar guzra.
Tumhari saason ko 
Hukke ke dhuyen ke saath,
Apne seene mein sameta,
Aur tumhari aansuon ka bhar
Kar jaam, ghoont ghoont gale 
Se utaara. 

Pardon ki tarah,
Tumhara ghoonghat uthaya to
Kucch jhurriyon ko aur gehra paya.
Labon ko sukha,
Aur hatheliyon ko sakht. 
Tumhara libaas utaara,
To waqt ke beraham 
Haathon ke nishaan paye.
Kucch nishaan mere bhi the,
Jinhe tumne sambhale the ab tak. 

Har baar lekin tumhari 
Aankhon me chamak,
Aur pyaar wohi tha. 
Milne par wo apnapan, 
Aur khushi ka izhaar bhi wahi. 
Jo majboor karta hai,
Ke baar baar laut ta hun,
Is shehar main. 
Par main ye jaanta Hun
Ke is rishte ka rishta hona 
Bas tere masoom aitbaar 
Aur bina shikvon ke  
Intezaar ke badaulaat hai. 


On my third visit to Udaipur.