Tuesday, 27 December 2011

Bade Ho Kay kya Banoge?

Khudi to thi humaare paas,

Par Khud ko kabhi banaya na tha.

Papa fakr se kehte
'Aji..humaara ladka to 'Ye' banega!'
Aur 'Ye' waqt ke saath badal ta raha.
'Jo bhi ban..par ek accha insaan ban'
Maa kehti.
'Mere fancy dress competition me
Mujhe ek gadha chahiye, aap banoge?'
Behan ne laad se poochha ek din.


Teachers akad te
'Student ho...
student hi ban ke raho'
'Abe O...Itna mat ban'
Dost log naraaz hote to kehte.
Theatre ke director to
Har rehearsal se pehle poochhte
'Is baar kya ban ne wale ho?'


Naam ke aage peeche
Chand Akshar jode,
Graduate Bane,
Post-Graduate bhi bane...
Phir naukri karne lage,
To naukar bhi bane!

Tum ne us raat, jab dheere se
Sehmi aakhon se poochha,
'Tum mere ban ke rahoge na?'
Mano is ban ne, bana ne
Ke udhed-bun se chhoota,
Tumse kuchh kaha nahin tha maine tab,
'Haan, yahi ban ke rahunga'

No comments:

Post a Comment