Friday 18 January 2013

Morning Walk

Yaadon ki gathri ko baandh kar
Ummeedon ke chiraag ko jalakar
Kal ka kaajal ponchh kar aankhon se
Aaj ka chamakta suraj laga maathe pe
Ek thaka hua raahi uthkar jaise
Phir se taiyaar hota hai
Raat ki rajai se uthkar
Theek waise hi, hum chal dete hain
Din ko seene se lagaane
Jo shaam hote-hote bojh sa lagne lagta hai,
Aur hum betaab ho jaate hain
Ki kaise utaar phenk kar use
So jayen raat ke god mein phir se.

Din-raat, log-bag,
Aansun-muskaan, Jeet-Haar,
Baichaini-sukoon, sukh-dukh
Dard-Dava, Sab mile
Jaise park mein morning walk karte hue
milte hain, doosri taraf se aate hue log,
Jinse milkar hum chal dete hain
Apni-apni disha mein
Akele, Ekaant,
Hum akele hi chalte hain
Apne khayalon ke udhed-bun mein khoye hue.

Ye nahin tay kar paate
Ki ant kahan hai?
Lakshya kahan hai?
Aur chalte hue
Kuch duri, Kuch deri ke baad,
Phir milte hain

Aansun-muskaan, Jeet-Haar,
Baichaini-sukoon, sukh-dukh
Dard-Dava se,

Aur milkar hum phir chal dete hain
Apni-apni disha mein
Akele, Ekaant.

2 comments:

  1. Wow, that's what I was exploring for, what a information! existing here at this weblog, thanks admin of this web page.
    Feel free to surf my blog post : loans for bad credit

    ReplyDelete
  2. My partnеr and I absolutely love your blog and finԁ a lot
    of your post's to be just what I'm lοoking for.
    Do уou offer guest ωriterѕ to wгite content to suіt yоuг needs?

    I wоulԁn't mind writing a post or elaborating on a lot of the subjects you write about here. Again, awesome blog!
    Also visit my web blog ... loans for bad credit

    ReplyDelete