Tuesday 24 January 2012

khaab

Raat bhar ek khaab ban leti rahi mere sirhaane;

Tamaam tare aasman ka aangan chhod kamre ki chhat se use dekhte rahe;
Chaand naraz tha, dekho kahin muh chuupa baitha hoga, kisi daryia ke kinaare.

Phoolon me ras bhi na pada aaj, uske surkh hoton me ghul rahe the jaane kitne hi rang.
Shabnam ki boondein, uske maathe ke paseene bane hue the, nanhi kopalon ne subeh shikayat ki.
Pahadi ki nadi bhi raat ko taaron ki madham roshni me uske laton ka naksha utara,
'hum bhi aise hi lehrana chahti hain, behna chahti hain, ulajhna chahti hain!'
Par neend ke khulte hi, khaab aur uska na hona bhi lazmi tha!

No comments:

Post a Comment