Thursday, 8 March 2012

Main ya Tum


Ab sab kuchh tum Ho, aur sab kuchh tumse hai...
Subah ki dhoop ki garmi,
Drawing room ke neele parde se jhaankti hai,
Bistar tak aa kar, razai hata, chipak ke gale mil kar let jaati hai,
Wahan jahan tum so rahe the abhie.
Main samajh jaati hoon, tum abhie park me apne run ke liye gaye hoge.
Ab sab kuchh tum Ho, aur sab kuchh tumse hai...

Tum saath na Ho to daal feeki aur roti humesha kachhi hi lagti hai.
Par aaj, ab bhi bhook lag rahi hai.
Tumne lunch nahi kiya kya ab tak?
Chai bana doon?

Kabhi aaine se darti thi,
Aaj dopahar bhar baithi hoon,
Kai baar baal sawaare, shringar kiya, sindoor lagaya.
Tum jaldi ghar wapas aa rahe ho na?

Pata nahin aaj itni khush kyun hoon,
Tum yaad kar rahe Ho?
Ye muskuraahat bhi meri nahin, tumhaari hai.
Kal raat ko aise hi chale aaye the do aasoon,
Tum shayad udaas the?
Ek anjaana sa Dar tha, ya Koi bura sapna,
Chaha ki tumhare seene me chhup jaun,
Dekha to tum mere seene me sar rakh so rahe the.
Tum jaante Ho...
Ab sab kuchh tum Ho, aur sab kuchh tumse hai.