Sunday 10 June 2012

main na achha hua, bura na hua


main na achha hua, bura na hua...
(this line can only be written by inimitable Ghalib)
I have used this and completed the poem.

 
main na achha hua, bura na hua...
tere saath chal na saka,
ya saath tera naseeb na tha,
safar to tab bhi tanha guzar hua.
 
tu nazar andaaz kar na saka,
jinhe main nazron se dur kar na saka,
tera daaman chhota nahin
mera haah hi kaabil na hua
main na accha hua, bura na hua.
 
sifar se ummed bas sifar
kaafir se umeed bas kufr
kuchh nahi tha, chah bhi nahin,
tune jo chaha mere paas wo na hua.
 
jism ki zarooraton me sab-o-roz kat te the,
sunte the fakiri ki, ruh ki baatein,
insaan aur jaanwar mein fark kahan,
jab jism se main ruh na hua..
main na accha hua, bura na hua.